Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, July 17, 2010

Main aasmaan se.......

Main aasmaan se aaya ek insaan hoon,
Main rehta hoon is dharti pai, par khwab aasmaan ke hi dekhta hoon,
Main khush hota hoon jab sab khush hote hai,
Main rota hoon jab kisi ke aankh Main aansoo hote hai,
Main sabke chehre pai muskurahat lana chahta hoon,
Khud ko bhulakar Main sabke saath muskurana chahta hoon,
Har dard har gum ko Main mita dena chahta hoon,
Har kisi ki zindagi Main Main sukh ka sagar chahta hoon,
Shayad hoon Main is duniya se anjaan
Par fir bhi kahin na kahin hoon Main apno ki jaan.

1 comments:

Mukesh Prajapati said...

Mujhe Dard-e-Ishq ka maza Maloom hai,
Mujhe Dard-e-Dil ki inteeha maloom hai,
Mujhe Muskurane ki Dua na do…..
Mujhe pal bhar Muskurane ki saza Maloom hai !!!
`
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aajayega mar jaane ke baad
`
Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai log aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!
`
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat gum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge
`
labo pe geet to aankho me khwab rakhte the..
kabhi kitabo me hum bhi gulaab rakhte the ..
kabhi kisi ka jo hota tha intezar hume..
bada hi sham o sehar ka hisaab rakhte the…