Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, December 11, 2010

Bus ek baar humse....

Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho

Raat mein khayaalon mein aati ho tum

Kabhi saamne aakar bhi dekho

Hum se baatein tu roz karte ho tum

Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho

Humaari nazar bohat kuch keh deti hai

Kabhi hamein nazaon se samjh kar tu dekho

Humse dosti ka rishta hai tumhaara

Kabhi hum say dil lagaa kar tu dekho

Humaari baton ne tumhaara dil kai baar behlaaya hai

Kabhi apni baton se hamein hasaa kar tu dekho

Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho

Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar tu dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus

Hum par ik baar eitbaar kar ke tu dekho

Hum tumhein zindagii mein har khushi denge

Bus ek baar humse pyaar kar ke tu dekho

Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum

Humein kabhi aazmaa kar tu dekho

Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnaa

Ek baar hamein apna banaa kar tu dekho

Vo larki shayd....

Vo larki shayd pagl thi

Din raat hi gum sum rehti thi

Kuch sharm-o-haya ka pekr thi

Kuch narm mizaji rkhti thi

Ankhon me neem nasha sa tha

Baaton sy deewani lgti thi

Hmraz na tha uska koi

Bas khud sy baatein krti thi

Ik sharm k Aanchal me aksar

Jazbat chupaye rkhti thi

Darti thi juda ho jany sy

Ya pyar sy shayed darti thi

Kya sabr tha us dewani ka

Kya zabt-e-mohabbat rakhti thi…

Hai rashk mujhy us pagli py,,,

Kya khoob mohabbat karti thi.

Batao kesa lagta h..........

“Batao kesa lagta hy?
Kisi ko paa k kho dena”

kesi k sath to chalna,
mgr us ka na ho pana.
khudi ko kosstay rehena,
mgr us ko na kuch kehna,
khudi girna, sunbhlna,
Hsna aur ro dena!

Batao kesa lagta hy?

Khazan ki sakht srdi may,
hijr ki lambi raaton men,
kisi ki yad men rona,
kisi ko sochte sochte,
apni ankhen bund krna or:
andheron men chalay jana,

batao kesa lagta hy!

Naye rishton men rung jana
magr!
Kisi ko bhool na pana??
Btao kesa lgta ha.

Main nahi hon apny wajood me....

“Main nahi hon apny wajood me…

“Mujhe janay kis nay chura liya…

“Mere khayal m rehta hai ek shakhs…

“Koi jadoo us nay chala diya…

“Meri rooh me wo sama gaya…

“Mujhe ishq karna sikha diya…

“Meri zindagi wo ban gaya…

“Mujhe jeena us nay sikha diya…

“Main to khud se bhi tha na aashna…

“Mujhe mujh se us nay mila diya…

“Meri zindagi ko badal diya…

“Muje khush naseb bana diya.

Hawa jab geet gati hai.....

Hawa jab geet gati hai mere aansu nhi rukte,

Tmhari yad aati hai mere aansu nahi rukte,

Mein khush hoti hn pani me baha kr kaagzi kashti,

Magar jab doob jati hai mere aansu nhi rukte,

Me din bhar khof ruswai ka kitna zabt krti hon,

Magar jab raat chaati hai mere aansu nhi rukte,

Kabi jab sard shamo me mere kamry ki tanhai,

Tumhe wapas bulati hai mere aansu nhi rukte.

Kabi mjse achanak tm jo aise Roth jate ho,
Main us wqt muskurati hun magar ansoo ni ruktey,

Mjhy jb khayal ata ha juda hona b Mumkin ha,
Main khud ko Tal deti hun magar ansu ni rukte.

Kitni Majbooriyan....

Kitni Majbooriyan Hum Palkon Pe Saja Letey Hain,,

Hum Kahan Rotey Hain Halaat Rula Detey Hain,,

Yaad Rehtey Hain Buray Waqt K Sathi Kis Ko.?

Subah Hotey Hi Log Shama Bujha Detey Hain,,

Sath Hotey Hain To Lagta Hai K Sadiyon Ka Sath Hai,,

Door Hotey Hain To Faqat Do Din Mein Bhula Detey Hain….

Abhi afsana-e-ishq anjam tk...

Abhi afsana-e-ishq anjam tk nhi pohncha

Din hijr ka wasl ki sham tk nhi pohncha

Jane kis raqib ko milte rhe pyam tere

K koi b khat mere dr-o- bam tk nhi pohncha

Kya btaun ae masiha teri masihai k bad

Dard kch km to huwa aaram tk nhi pohncha

Ae sanm teri qasm hum sr b kta dete mgr

K tera hukm tere gulam tk nhi pohncha

Bhla kis nam se rkhe ga zmana yad mjhe

K koi nam abhi mujh gumnam tk nhi pohncha.

Bichre hue logon ki....

Bichre hue logon ki
Sadayen maar deti hain

Kuch Parda Nashinon ki
Adayein maar deti hain

Kisi_ko Raas Aa jati hai Bd_dua Dosto

Aur kisi ko apnon ki
Duayein maar deti hain

Wo Shajar se tote hue Bd_naseeb Pattay

Jine har mosam me
Hawayein maar deti hain

Kisi ko Dosh na do Uski Bewafai ka

Chahny walon ko apni
Khatayein maar deti hain

Har ik Sitam Seh ker b jo rehty hain
Wafa par Qayim

Aise
Wafa Shoor Logon ko
Wafayein maar deti hain.

Had-e-inteha se bohat.....

Had-e-inteha se bohat aage tumhain chaha hai,

Hum ne wafa se bohat aage tumhain chaha hai,

Jahan se lout aane ka rasta nahi milta,

Us raah se bohat aage tumhain chaha hai,

Un se kaho jin ki nigah main Mohabbat gunah-e-azeem hai,

Hum ne gunah se bohat aage tumhain chaha hai,

Mohabbaton main harf-ba-harf mujhe mangna nahi aata,

Main ne aadab-e-dua se bohat aage tumhain chaha
hai….

ABHI GHR NA JANA.......

ABHI GHR NA JANA

Ye Bikhri Si Zulfein

Ye Phaila Sa Kajal

Ye Bechain Ankhein

Ye Simta Sa Anchal

Tere Hal Se Log Pehchan Lein Gy

Tujhy Dekh Kr Sb Mujhy Jan Lein Gy

Ye Behke Qdm Larkhrati Jawani

Ye Be-tab Dil Or Muhabat Diwani

Shafk Jese Gaalon Pe Ubhri Hui Hy

mere Honton Ki Ik Mehkti Nishani

Kabhi jo waqt par jaye.....

Kabhi jo waqt par jaye,

Tumhen mujhsay bicharna ho,

Tumhen wady say phirna ho,

To beshak dair mat karna,

Mujhy naraz kar dena,

Tum apna rukh badal lena,

Tum apni simt chal dena,

Mager jub lot k aana,

Tumhen mitti k teelay par,

Main shayad na dikhai doan,

Mager heran mat hona,

Wahin do char qadmo par,

Mazaar-E-bekaran hoga,

Wahan ik phool rakh dena,

Aur ik shama jala dena,

Aur apna rukh badal lena,

“AUR APNI SIMT CHAL DENA”

Udaas Logon ki Bastion mein.....

Udaas Logon ki Bastion mein.
Wo Titlion ko Talash Kerti..
Wo Aik Larki..

Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain..
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain..
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..
Wo Aik larki..

Wo Mohabbaton K Nisaab Janay..
Wo Janti Hai Ehad Nibhanay..
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..
Wo Aik Larki..

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay..
Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay..
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..

Wo Aik Larki

Ye Zamanay Ki Wafa........

Ye Zamanay Ki Wafa Mere Kaam Ki Nahi,
Mujhay Us Ki Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi

Us Ki To Aik Muskurahat Bhi Anmool Thi,
Ye Tamaam Muskurahatain Kisi Daam Ki Nahi

Mujhay Gham Hai To Us Ke Chin Janay Ka Hai
Parwa Mujh Par Lagay Ilzaam Ki Nahi,

Mera Haath Dekh Kar Sub Ye Bolay
Bohut Si Chahatain Teray Liye Hain Baaqi
Lekin Teray Haath Me Koi Bhi Lakeer
Us Ke Naam Ki Nahi…….

Tumhara Naam Sunte Hi.....

Tumhara Naam Sunte Hi Bahut Kuchh Yaad Aata HaI..
Khushi Me Guzra Hua Ek Zamana Yaad Aata Hai ..

Itna Door Ho Gaya Hu. Tumhe Bula Bhi Nahi Sakta ……
Aankhe Bandh Karte Hi Tumhara Chehra Yaad Aata Hai …

Kaise Bhuladu Tumhe Ab Tum Hi Batado Sanam …….
Kiya Tha Kabhi Jo Tumse Wo Wada Yaad Aata Hai ..

Kabhi Jaker Sagar Kinare Banaya Tha Jo Ghar Humne..
Aaj Toota Hua Ret Ka Wo Mahel Yaad Aata Hai ..

Kabhi Socha Na Tha Maine Hum Yu Bichhad Jayenge..
Bachpan Ka Wo Roothna Wo Manana Yaad Aata Hai ..

Char Pal Wo Zindagi Ke Wo Mehfilo Ki Roshni…
Deepak Ke Ujale Me Bhi Gum Ka Andhera Yaad Aata Hai….

Ab To Is Tanhayi Me Ghoont Ke Mar Jayenge Hum..
Hum Se Wo Chhoota Hua Tumhara Daman Yaad Aata Hai …

Aankhse Nikal Pade Hai Aansoo Hath Bi Ab Thum Gaye Hai..
Mai Poochht Hu Apne Apse Aur Kya Kya Yaad Aata Hai ..

Tanha tanha se hum...

“TANHA TANHA” c raat,
aur
“TANHA TANHA” se HUM!
Afsurda afsurda YADEN,
Bheega bheega MOSAM,
Sookhey patton ka SHOR,
Andhery ki SARGOSHI,
Dharkan ki AAHAT,
Qismat se apne SHIKWAY,
tere ehsas ka toota BANDHAN,
Tere sath guzray PAL,
Tere loat Aanay ke UMIDEN,
Tere rastay pe NAZAR,
Lamha lamha rat ka DHALNA,
pal pal apne aas ka TOOTNA,
Dil k zakhmon ka gehra hona,
Phir
“TANHA TANHA” c raat, Aur
“TANHA TANHA” se “HUM”

Chahat....

”Ae waqt Jara to tham ja, Mujhe yaad “KISI” ko karne de,
Mujhe “pyar” hai ik “SaNG DIL” se, Jo koi “BAAT” mujhe na karne de,
Na apne “PAAS” wo aane de, Na khud se “DOOR” wo jane de,
Na “DIL” ko apne paAs rakhe, Na aur kisi ka “HONE” de,
Har waqt mujhe “WO” yaad aae, Phir “DIL” se ik aawaz aay,
Ye kaisi “CHAHAT” hai us ki, Jo “JEENE” de naA “MARNE” de.”””

Mujhe Likhna Aur Mitta Dena...

Nahi Mumkin Andheroon Main Chiragon Ka Bhuja Dena,
Bohat Mushkil Hai Meri Jan Tumay Dil Say Bhula Dena,

Tumain Ik Din Betayen Gey Meri Chahet Kay Sab Jezbay,
Meri Ghezlain, Meri Nezmayn, Mery Khat Bhi Jalaa Dena,

Kabhi Jo Yaad Aaon Main Tumhe Fursat K Lamhon Main “Sehar”
Haseen Hathon Say Kagez Per Mujhe Likhna Aur Mitta Dena….!

Dard ke Toofaan Dil Mein Uthtey hein.....

Dard key Toofaan Dil Mein Uthtey hein, Lamhein Sadiyon ki Tarah Kat-tey hein,
Hum Mitaanaa Chaahein jo Kabhi, Aap key Naqsh Kahan Mit-tey hein.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Yun Armaano pey Chhaayeinge Shafaq Chahat key,
Sochaa naa thaa kabhi,
Yun Hamaare Chaain ko itni Taqleef Pohonchaaeigey Lamhe Aapki Mohhabbat key,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun Aap kee Kashish ka Jadoo chalega Jism-o-Jaan pey,
Ki Aap hee Aap Nazar Aaeingee Anjuman mein, Sehraa mein, Zamii Aasmaa pey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Hamne Aap sey Ummeed kee bhee to kya ?
Thori see Shid-dat ?
Thori see Wafa ?

Yun Hamaari itni see Guzarish kubool karne key liye,
Aap hamein itna Tarsaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun hamare khwaabon ko Muk-kam-mal karne ley liye,
Iss qadar aap hamein, pal pal Tarpaaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

, Lamhein Sadiyon ki Tarah Kat-tey hein,
Hum Mitaanaa Chaahein jo Kabhi, Aap key Naqsh Kahan Mit-tey hein.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Yun Armaano pey Chhaayeinge Shafaq Chahat key,
Sochaa naa thaa kabhi,
Yun Hamaare Chaain ko itni Taqleef Pohonchaaeigey Lamhe Aapki Mohhabbat key,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun Aap kee Kashish ka Jadoo chalega Jism-o-Jaan pey,
Ki Aap hee Aap Nazar Aaeingee Anjuman mein, Sehraa mein, Zamii Aasmaa pey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Hamne Aap sey Ummeed kee bhee to kya ?
Thori see Shid-dat ?
Thori see Wafa ?

Yun Hamaari itni see Guzarish kubool karne key liye,
Aap hamein itna Tarsaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Yun hamare khwaabon ko Muk-kam-mal karne ley liye,
Iss qadar aap hamein, pal pal Tarpaaeingey,
Sochaa naa thaa kabhi.

Hameshaa Tanhaiyon ki Majlis mein, Aap ka Hamne Intezaar kiya,
Aap ki Khaatir Kambaqt Dil ney,
Dard Mein Simtee hui Gehraiyon sey bhee Pyaar kiya.

Ja gira......

Thokar lagi to apne muqaddar pe ja gira,
Phir yun huaa k aaieena pathar pe ja gira.
Ehsaas-e farz jab bhi huaa neend aa gayee,
Chalna tha pul-saraat pe,bistar pe ja gira.
Baazi Muhabbaton ki jahaalat ne jeet lee,
Wo ban gata khateeb jo Mimber pe ja gira.
Khushboo qasoor-waar nahi, is ko chhor do,
Main phool torte hue khanjar… pe ja giraa.

Ghadi do Ghadi mile Khabar Uski...

main apne dil ko samjhaoon kaise
tujhe sanam main bhulaoon kaise
mujhe to teri latt ho chuki hai
main tujh bin jiwan bitaoon kaise

ye duriya jo badh rahi hai
unhe main yaar ab mitaoon kaise
ye aansu jo beh rahe hai
inhe main pee kar nibhaoon kaise

ye dil me kaisi jung chidi hai
ye kaisi mushkil ki ghadi hai
main apne dil ko samjhaoon kaise
is badhti doori ko mitaoon kaise

mujhe tu ya rabb, sabar ataa kar
ghadi do ghadi unki khabar ata kar……..

Aankhen......

Main Kahoon Na Kahoon Ye Akhiyaan Bata Deti Hain
Gham-E-Dil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti Hain

Ho Jati Hai, Teri Yaad Main gum, Yun Aksar
Sookhe Hue Takiye Ko Bhiga Deti Hain

Jiss Ne Bhi Yahan Ishq Kiya Us Ne Jaana
Bolti Khamooshiyan Ye Apne Me Sama Leti Hain

Yun To Naam Leva Ishq Ke Hain Yahan Per Be-Had
Nibhaya Ise, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti Hain

Ye Imtehan Deti Hai Rat-E-Hijr Main Mohabbat Ka
Soch Hi Soch Me Ek Darya Baha Deti Hain

Lakh Chaho Gar Tum Chupana Duniya Say, Lali Inn Ki
Daga Baz Hain Ye, Fasana-E-Dard Poore Aalm Ko Bata Deti Hain

WO SHAKHS KITNA AAM SA THA...

MAIN EK AAM AADMI HOON…….
MERA AAM SA LEHJA, AAM SA CHEHRA
AAM SI BAATEIN, AAM SI CHAHTEIN
AAM SE DIN, AAM SI RAATEIN
MUJH ME KHUCHH BHI TO KHAS NAHI
PHIR….TUM KAISE MUJHE YAAD RAKH PAOGI?
SHAYAD IS TARAH……
KABHI BAATON-BAATON MEIN YOON YAAD AA JAUN…
KE…… “WO SHAKHS KITNA AAM SA THA!!!”

Wafa K Naam....

Wafa K Naam Ik Dastan Likh Raha Tha

Mushkil Lafzon Ko Asaan Likh Raha Tha
Wafa Ki Talash Mai Sara Jahan Likh Raha Tha

…Na Mili Wafa To Lafz Nakaam Likh Raha Tha
Nai Milti Dhoondne Se B Wafa Karne Wale

Islye Sare Jahan Ko Bewafa Likh Raha Tha
Na Karna Pyar Kabi Zindagi Mai Mere Dosto

Milti Hai Pyar Mai Ruswai Ye Baar Baar Likh Raha Tha