Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Wednesday, May 18, 2011

Mujhe teri mohabbat mein......

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane de
Har lamha mar ke aaj phir jee jaane de,
Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai,
Mujhe ishq ki baaho mein so jaane de,
Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein,
Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane de,
Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe,
Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane de,
Kasam tujhe chalne wali hawaon ki sanam,
Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane de.

Yeh dard mit gaya to phir.........

Yeh dard mit gaya to phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hu main,
Woh phir say mil gaya to phir?
Mein titlion k shehar me,
Rahu to mujh ko fikar hain,
Woh phool jo khila nahi,
Woh phool khil gaya to phir?
Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila,
Tamam umar k liye,
Yeh dard mil gaya tu phir?

Chalo kuch khwab bunte hain...

Chalo kuch khwab bunte hain,
Haqiqat ka jo paira hon,
Jo andheron ko mita dalain,
Jo rangon ka basera hon,
Chalo ik saaz sunte hain,
Jo zindagi ki leh or dhun ho,
Jo maot ka raqeeb,dushman ho,
Jo thehre pani main halchal kare,
Jo jazbaat ko mutzalzal kare,
Chalo kuch phool chunte hain,
Jo khushboo dain nihaan ker dain,
Jo tanha veeran jeevan ko,
An-ginat umeedon ka jahan ker dain,
Per khwab,saaz or phool to bas,
Kuch mubhim si tadbirain hain,
Jo kuch pal talkh haqeeqat bhula dain,
Wo paani pe tehreerain hain,
Main kab tak tum main kho jaon,
Kyun na apne aap khoju main,
Ya,
Phir main “tum” hi ho jaon.

Bachpan K Din......

Bachpan K Din Bhi Kitne Acche Hua Karte The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,
Bachpan Ki Khushiyan Bhi Jaane Kaisi Khushiyan Thi,
Teetlion K Per Noch Kar Khush Hua Karty The,
Choti Thi To Makro Faraib Bhi Chote The,
Dana Daal K Chiriyon Ko Pakra Karte The,
Barish K Pani Mein Paanv Maar K,
Khud Apni Naav Duboya Karte The,
Apne Jal Jane Ka Ehsas Tak Na Tha,
Jalte Huye Sholon Ko Pakra Karte The,
Ab To Ek Aansoo Bhi Ruswa Kar Jata Hai,
Chote The To Dil Khol Kar Roya Karte The.

Chupchap kahin.....

Chupchap kahin rakha to hai,
Ek khwab humne dekha to hai,
Kal sham yun hi tanha baith kar,
Tere bare me socha to hai,
Doobte suraj ugte chand par,
Tere liye paigam bheja to hai,
Behti hawa,sagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,
Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra dikha humko hai,
Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishta bana to hai.

Ye mauje hawa.......

Ye mauje hawa bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe,
Ke sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe,
Wo mehrba hai to iqrar kyu nahi karte,
Wo badguman hai to sau baar aazmaye mujhe,
Main apne paanv tale raundata hu saye ko,
Badan meraa hii sahii do-pahar na bhaye mujhe,
Main ghar se terii tamanna pahan ke jab niklu,
Barahna shehar mein koi nazar na aaye mujhe,
Wo mera dost hai sare jahaan ko hai malum,
Dagha kare vo kisi se to sharm aaye mujhe,
Main apanii zaat mein niilam ho raha hu,
Gham-e-hayaat se keh do Kharid laye mujhe.