Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Love Shayari

1.
Sham suraj ko dhalna sikhati hai,
Shama parwane ko jalna sikhati hai,
Girne wale ko hoti to hai takleef,
Par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.

2.
Tere intezaar mein hui subah se shaam,
Teri chahat mein hua ye dil belagaam,
Tujhe paane ki aarzoo meri jald ho poori,
Ki hothon pe aata hai sirf tera hi naam.


3.
Phir chupke se aahein bharta hai koi,
Phir pyar se humein bulata hai koi,
Par hum to bahaut dour ja chuke hein,
Kiyonki patthar sa apna dil banata hai koi.

4.
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai,
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai,
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya,
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain.

5.
Zindagi mein kuch bhi haasil na kar paaye,
Na jee paaye,aur na hi mar paaye,
Har baar dil mein basa hua koi rok leta hai,
Na woh humein bhula paaya na hum usse bhula paaye.

6.
Kisi ko palkon par na bithaao,
Wahaan to sirf sapne baste hain,
Bithaao to dil mein bithaao,
Kyonki yahaan sirf apne baste hain.

7.
Unki Aankhe Hume Apni Zindagi Lagti Hai,
Unki Saanse Hume Apni Bandagi Lagti Hai,
Ashiqi Mein Unki Humara Haal Kuch Iss Tarah Hua Hai,
Ki Ab Toh Unki Nafrat Bhi Humme Mohabbat Si Lagti Hai.

8.
Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi,
Mere khawabon ko mehka gaya koi,
Hum to anjaney raston pe chal rahey the,
Achanak hi pyaar ka matlab seekha gaya koi.

9.
Anjaan Hai, Anjaan Hi Rahne Do,
Kisi Ki Yaado Me Pal Pal Yun Hi Marne Do,
Kyoun Badnaam Karte Ho Humara Naam Leke,
Ab Toh Iss Naam Ko Benaam Hi Rahne Do.

10.
Anjaan ek sathi ka is dil ko intejar hai,
Pysasi hain ye aankhen aur dil bekarar hai ,
Unke saath mil jaye to har raah aasaan ho jayegi,
Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai.

11.
Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye,
Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye,
Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro,
Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye.

12.
Zindagi ki raha mai jo gum milenge,
Woh apni zindagi se kam milenge,
Jaha duniya nighahe pher legi,
Waha tujh ko hum milenge.

13.
Pyar tujhe bhi hai hum se,hum maante hain,
Rota tu bhi hai humari yaad mein,ye jaante hain,
Lekin ye dooriyan hum se ab sahi nahin jaati,
Bulana chahta hai tumein ye paagal dil,
Par awaaz ab hum se lagaai nahin jaati.

14.
Gamo mein husne walo ko rulaya nahit jata,
Lehro se pani ko hataya nahi jata,
Banane wale ban jate hai apne,
Kisi ko keh kar apna banaya nahi jata.

15.
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya.

16.
Suno mein laut aya hoon
Meri batein
Meray waday
Mein apne saath laya hoon,
Suno meri dharkan mein
Wohi ik saaz bajta hai
Andaz meri baton ka
Tera andaz lagta hai
Khazaan k zard patton ko
Barf se sard mosam ko
Hijar ki garm aahon ko
Tanhai ki bahon ko
Suno Main chor aya hoon
Abhi jo sakt baaqi hai
Mera jo wqat baaqi hai
Sameto mujh ko bahoon mein
Mujhay chand khushiyan de dalo
Meray sab gham sameto tum
Chand lamhay mujh ko de dalo
Mein sab rishtay
Sabhi natay
Sabhi bandhan
Sabhi dhage
Suno Mein tor aya hoon
Suno mein laut aya hoon

17.
Na Karna Mohabbat Aye Doost
Anjamey Mohabbat Bura Hai,
Yeh Dil Mein Chubo Ta Khanjar Hai
Aur Bekhudi Is Ka Natija Hai.

18.
 Hamse mat poocho ki kyun aankhen jhuka li maine
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
uspe likha tha ki teri mahobbat mere muqaddar me nahi
yahi soch kar apne maathe ki woh lakreer mita li meine.

19.
Bikhre Armaano Ke Moti Hum Piro Na Sake
Tere Yaad Mein saari Rat Hum So Na Sake,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri
Bass Yehi Soch Kar Hum Raat bhar Ro Na Sake.

20.
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nahi pata,
Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata,
Kyon leti hai zindagi aisi karwat,
Ki koi chah kar bhi pyar jata nahi pata.

21.
Mohabbat ki lahero pe kastiya chalane waale
zara sambhal ke, mohabbat dariya hai sahil nahi,
uthte hai kahi tofaan mohabbat ke samander me bhi,
ager us se lad na sako to tum mohabbat ke kabil nahi.

22.
 Haqiqat Mohabbat Ki Judaai Hoti Hai
Kabhi Kabhi Pyar Main Bewafai Hoti Hai
Humari Taraf Haath Badhaa Kar Toh Dekh
Dosti Main Kitni Sachhai Hoti Hai.

23.
Socha tha humne bhul jayenge tum ko,
Phir kabhi yaad na aayenge tum ko
Dil to masoom hai chal pada mohabbat ki raha par
Samajh na paya Tum jaise bewafa ko
Shikwa kya karein tum se hum sangdili ka
Shikast to di hai humari saadgi ne hum ko...

24.
 Kab the hum bejaan jo aaj jeene lage,
Kab the hum hosh me jo aaj behoshi me peene lage.
Kab thi woh hamari jo aaj hamse juda hai,
Kab na tha hum me anurag jo mila nahi hume khuda hai.

25.
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte.

26.
Door Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Wo Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanson Ko Rok Paoge Kaise..

27.
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaye

28.
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai…

29.
Nahin shikawa mujhe kuch bewafai ka teri hargiz
gila tab ho agar tune kisi se bhi nibhai ho...


30.
Saanp ka kata sota ha
bichu ka kata rota hai,
Par bewafai ka kata
toa na rota hai na sota hai.

31.
Is jahanme mohabbat kash na hoti
To safar-e-zindagi me Kharash na hoti,
Agar milti bewafao ko saza me maut
To diwano ki kabrein udas na hoti…

32.
Bewafai Ka Ye Aalam Hume Bardash Na Hota,
Jo Apne Darmiyan Yeh Maut Ka Farman Na Hota,
Hoti Chahe Jitni Bhi Dikkat Khuda,
Kash Apna Pyaar Jawan Na Hota.

33.
Apne hi dilke hathon barbaad ho gaye hum,
Kisse kare shikayat ab kiski de duhayi,
Duniya banana wale, main tujhse puchhta hun,
kya pyar ka jahan me badla hai bewafai...

34.
Bada afsoos hota hai jab aapka zikra hota hai
Toh bewafai ka mahool hota hai...
Jaanta hun aap bewafa nahi ho magar
Dard toh es dil ko hota hai…


35.
Dard Kafi Hai Bekhudi ke liye,
Maut Zaruri Hai Zindagi Ke Liye,
Koun Marata Hai Yahan Kisike Liye,
Par Hum To Zinda Hai Bas Apaki Dosti ke Liye.

36.
Aye Khuda Dua Meri Yeh Khali Na Jaye,
Ke Mere Dost ki Palkon Pe Aansu Na Aaye,
Aansu Nikle To Khushi ke Nikle,
GaM ke Aansu Mujhe Aa Jaye…


37.
Doston ke liye dosti ki saugat hogi,
Naye log honge nayi baat hogi,
Hum har haal main muskurate rahenge,
Tumhari dosti agar yunhi mere saath rahegi…

38.
Khuda ne dost ko dost se milaya,
Doston ke liye dosti ka rishta banaya,
Par kehate hai dosti rahegi uski kayam,
Jisne dosti ko dil se nibhaya.

39.
Hamari tumhari dosti duniya ke liye ek misal hai
Tumhe dekha toh laga kya maal hai,
Tumhe pane ke liye bichaya jaal hai,
Par kya kare ye college ka hamara aakhri saal hai.

40.
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai
Hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
Hum se pyar na karna e-zalim
Hum wo dard hain jo ankho se chalakte hain.

41.
Dard hota nahi dunia ko dikhane ke liye
har koi rota nahi aansu bahane ke liye,
Ruthne ka maza tab aata hai
jab koi apna ho manane ke liye.

42.
Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...

43.
Utre jo zindagi teri gehraiyo mein hum
Mehfil mein rahkar bhi rahe tanhaiyon mein hum,
Deewangi nahi tow aur kya kahe
Insaan dhoondhte rahe parchayion mein hum.

44.
Gam hai ki tumhe apne pyaar ka ehsaas karaa na sake
Tum rooth na jao yeh soch ke tumhe manaa na sake,
Tum gair ke na ho jao kisi mod par
Is dar se kabhi tumhe apnaa na sake.....

45.
Har aasunoN mein jo baha vo dard tumhara hai,
Humne kiya pyar jo tumse to qasoor humara hai,
Dil-a-naadan ghalti kar baatha,
Ek bewafa sa dil laga baatha..

46.
Taraste they jo milne ko humse kabhi,
Aaj woh kyun mere saaye se katrate hain,
Hum bhi wahi hain dil bhi wahi hai,
Na jane kyun log badal jate hain..

47.
Jheel acha, kawanl acha k jaam acha hai,
Teri ankhoon k liye koun sa naam acha hai?

48.
Mana ki abhi khali haath hai,
Per dil toh pyaar se aabad hai,
Jaib khali hai toh kya gam hai,
Tumse milkar dil mala mal hai.

49.
Raste pe chalte hi gaye,
Kahi manzil nazar na aayi,
Jahan par bhi nigaah phehrayi,
Waha tum hi tum nazar aayi.

50.
 Tum chaho to,
Aaj bhi hum,
Apni saanso’n ka shahar,
Tumhe sonp de,
Sirf !!!
Beeti huii chahato k ewaz mein.


51.
Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi,
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi,
Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi.

52.
Yun to tere payaam me kuchh bhi na tha magar,
Ashqon ki kuchh nami thi mere naam ke tale.

53.
Hum Apni Rooh tere jism mai hi chor aye sanam.
Tujhay galey se lagana to ek bahana tha.

54.
Kasam unki jo hamein aazmaey baithe hai,
Paas rehkar bhi door jake baithe hai,
Nazre mile toh kuch baat ho zara,
Par kya kare woh nazre jhukae baithe hai.

55.
Rishton ki yeh duniya hai niraali,
Sab riston se pyaari hai dosti tumhari,
Manzoor hai aansu bhi aakho mein hamari,
Agar aajaye muskaan honth pe tumahari.

56.
Hasraton ka kya hai wo kabhi puri hoti nahi,
Sachhe aashiq dard-e-gum mein rote nahi,
Aazmaish kabhi chahaton ki kiya nahi karte,
Kyonki jaan lo aksar sapne pure hote nahi,

57.
Mana k tera waqt Qeemti hai, khaas hai,
Ham bhi nayab hai tu ne hi to kaha tha.

58.
Kabhi na hathon se hath chutey khayal rakhna,
Kabhi na chahat ka man tootey khayal rakhna,
Ho jo mohabbat to ranjisho se guraiz karna,
Kisi ka najuk se dil na tootey khayal rakhna.

59.
Dekhte hai aaj hum uss rah ki veeraniyan,
Yaron ke sang kati jaha humne zindaganian,
Guzra woh daur, bichar gaye sab dost,
Saath reh gayi toh un lamhon ki kahaniyan.

60.
Jab hua ehsaas ki pyar nahi unko humse,
Hum aa chuke the unki pyar ki gharaai mein,
Mein sochke chala tha ki woh sahil tak Pahucha denge,
Nahi pata tha woh majdhaar mein kehnge,yeh kasti mere nahi hai!