Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, July 17, 2010

Main aasmaan se.......

Main aasmaan se aaya ek insaan hoon,
Main rehta hoon is dharti pai, par khwab aasmaan ke hi dekhta hoon,
Main khush hota hoon jab sab khush hote hai,
Main rota hoon jab kisi ke aankh Main aansoo hote hai,
Main sabke chehre pai muskurahat lana chahta hoon,
Khud ko bhulakar Main sabke saath muskurana chahta hoon,
Har dard har gum ko Main mita dena chahta hoon,
Har kisi ki zindagi Main Main sukh ka sagar chahta hoon,
Shayad hoon Main is duniya se anjaan
Par fir bhi kahin na kahin hoon Main apno ki jaan.

Kis tarah......

Kis tarah aur pass aaon main,
Sirf apna tumein banaaon main.
Paas ho kar bhi door hain itne,
Kis nidaa se tumein bulaaon main.
Raat din be qaraar rehta hoon,
Kaash, lamhe ka chain paaon main.
Dhoop hai tez,kahin chaaon nahin,
Abra ko, ab,kahan se laaon main.
Aik lamhe bhoola nahin paata,
Khoob kehto ho,bhool jaaon main.

Bhool Jata Hoon....

Us Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hoon

Us Ko Jab Yaad Karta Hoon Bhulana Bhool Jata Hoon

Bohut C Aisi Baatain Hain Jo Mere Dil Mein Rehti Hain

Magar Jab Us Se Milta Hoon Sunana Bhool Jata Hoon

Us Ke Bad Ab Her Pal Bari Mushkil Se Katta Hai

Mein Aksar Us Ko Khawabon Mein Batana Bhool Jata Hoon

Mein Her Sham Kehta Hoon Ke Us Ko Bhool Jaon Ga

Magar Jab Subha Hoti Hai Tu Bholana Bhool Jata Hoon

Ek paal bhi....

Ek paal bhi teri yaad dil se jati nahi

Tere saath ke bina Zindagi bhi ras ati nahi

Hardam har pal yahi eshas hota

Ki agar tu hota to har pal kaisa hota

Shyaad waqt tham jata mere liye

Sari kushiya mil jati us ke pal mei

Dadhkane jud jati uss ke pal mei

Hum pass ajate jis pal mei

Kash mei Zindagi mei tere saath ho pati

Tere bina muje raasthe milte nahi

Tu jab tak hai kushiyo se ristha hai mera

Tuje haq hai mujse dur jane ka

Kyoiki Dil milke bhi haath milte nahi

Lekin aj kareeb hoke hum dur hai

Shyaad yahi Zindagi ko manjur hai

Pana chahe tha tune bhi tere saath har pal

Per kya karu ye ho nahi sakta

Kyoki mei pass hoke bhi dur hui

Shyaad thodi si kamzor hu….

Teri yaad aaye....

Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye

Kiyon bewajah itni shidat se hum roye

Badhi der tanhai mein baithe rahe

Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye

Aaj kiyon ansoo beh gaye?

Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aay

Mian yeh ansoo tere nahin

Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain

Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aaye

Baaris....

Yeh BaarisHain Bhi Tum Si Hain

Jo Barass Gayee Toh Bahaar Hain
Jo Thehar Gayee Toh Qaraar Hain

Kabhie Aa Gayee Yunhi Besabab
Kabhie Chaa Gayee Yunhi Roz O Shab

Kabhie Shoar Hain
Kabhie Chup Si Hain

Yeh BaarisHain Bhi Tum C Hain

Kissi Yaad Mayn Kissi Raat Ko
Ek Dabi Huwee Si Raakh Ko

Kabhie Yun Huwa Ka Bujha Dia
Kabhie Khud Se Khud Ko Jala Dia

Kahin Boond Boond Mayn Gum C Hain
Yeh BaarisHain Bhi Tum Si Hain

Baithe Baithe...

Baithe Baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon.. Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hon..

Sochti hoon jab bhi uske dard-o-ghum ka aalam.. Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti hon..

Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas paas.. Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main sone lagti hoon..

Woh ek baar Usne ne kaha tha, Main ab thak gya hoon.. Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,bechain si main hone lagti hoon..

Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se.. Ek yehi bharm dil mein liye,khwaab uske main sanjhone lagti hoon..

Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai.. Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada si main hone lagti hon..

Dard chupata hai jab woh, dil se nahin faqt labon se muskurata hai jab wo.. Jaane kaun se ehsaas se main tadap jaati hoon,bebasi mein main rone lagti hoon..

Baithe baithe yunhi achanak kahin main khone lagti hoon.. Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hoon..

Kahan aa ke....

Kahan aa ke rukne tha raste kahan mod tha usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh’ jo nahin mila usay bhool ja

wo tere naseeb ki barishen kisi aur chat pe baras gayeen
dil e bekhabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja

main to gum tha tere dhyaan main teri aas tere gumaan main
sab keh gayi mere kaan main mere saat aa usay bhool ja

kyun ataa hua he ghubaar main ghum e zindagi k fishaar main
wo jo darj tha tere bakht main’ so wo ho gya usay bhool ja

jo basaat e jaan hi ulat gya wo jo raaste se palat gaya
usay rokne se hasool kya usay matt bula usay bhool ja

tujhe chand bann k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
wo tha darya wisaal ka so utar gaya usay bhool ja…………..

Kuch khabar nahin...

Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhoondne ye dil jis ko is gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan
Magar tum ne is dil ko be-panah sataya hai
Maar kar mujhe qatil ghumzada sa lagta hai
Is liye to chalte huye thora larkhadaya hai
Kash apne dil ki aag ashk se bujha sakte
Rooth jab gaye ansu usne tab jalaya hai
Bewafa zamane mein kuch wafa shanason ne
Zikr-e-dil zamane se har qadam chhupaya hai
Jal raha tha dil mera phir bhi shukr hai itna
Unko is tamashe mein kuch maza to aaya hai
So rahe the sir rakh ke aaj mere kandhe par
Zeest mein sanam hum ne kuch maza to paya hai.

Aaj uski yaad ne....

Aaj uski yaad ne hame tadpaya bahut
Aaj na chahte hue bhi wo yaad aaya bhut,
Us ke baad to jaise weshatoon se dosti ho gaye
Phir kyun tanhayo ne aaj daraya bahut,
Wo meri thi meri hai meri rahengi
We soch k dil ko behlaya bahut,
Shama k jalne pe afsoos kare kyun
Humne bhi manand-e-shama khud ko jalaya bahut,
Hum ne jis kisi ko bhi hamdard samjha
Wo na jane kyun hamare dard pai muskuraya bahut.

Mujhe Fanaa Karde......

Ai Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Aaa Tu Daud Ke....

Aa tu ke daud ke lipat jaa seene say humare
Phir ishara iss taraf say hoga, yeh umeed na rakh,
Ki ek baar mohabat ki beekh maangi thi tujh se
Baar baar sar mera jhukega, yeh umeed na rakh,
Na acha kiya tune iss dil ko thukra ker
Tujhko na koi thukrayega, yeh umeed na rakh,
Bohat he tadpaya gam ne tere humko magar
Hum yun ghut ghut ker mar jayenge yeh umeed na rakh..

Friday, July 16, 2010

Take care of my eyes.......

There was a blind girl who hated herself just
because she's blind.

She hated everyone, except her loving boyfriend. He's always there for her.

She said that if she could only see the world, she would marry her boyfriend.

One day, someone donated a pair of eyes to her and then she can see everything, including her boyfriend.

Her boyfriend asked her, "now that you can see the world, will you marry me?"
The girl was shocked when she saw that her
boyfriend is blind too, and refused to marry him.

Her boyfriend walked away in tears, and later wrote a letter to her saying.
"Just take care of my eyes dear."

Friday, July 9, 2010

Tum..........

Aake baitho mere sirhaane tum
Aur socho na kuchh bahaane tum.

Chhu ke dekhoon to maanun main,
Sach ho ya khwaab ho na jaane tum.

Aaj bhi main to hoon fida tum par,
Ho mere ab bhi kya diwaane tum.

Meri nazaron main daal kar nazaren,
Khud hi padhalo na sab fasaane tum.

Koi taqaraar ab nai socho,
Phir na shikave karo puraane tum.

Jee main aataa hai rooth jaaun main,
Hans ke mujhako lago manaane tum.

Mere seene pe sar rakho apanaa,
Yun raho naa bane begaane tum.

Kohra......

Aaj waadee main khoob koharaa hai ,
Dil akelaa hai dard doharaa hai.

Tere kaano ko hi nahin pahunchi,
Baat jiskaa ki yoon dhindoraa hai.

Aasmaanon se khelataa hai woh,
Aadmi kya hai ek mohara hai .

Dher sara nahin hai to naa sahi ,
Yeh to kah do ki pyaar thodaa hai.

Yaad aati ho is Qadr se tum ,
Ke dil akelaa hai dard doharaa hai.

Teri Aahat..........

Khaamosh guzar ti ho ,
Aangan se nakaabo.n main,
Haule se chhupa detin,
Munh apana kitaabon main.

Kangan ko karogi chup,
Paayal bhi utaarogi ,
Dhad_kan ka karogi kyaa ,
Aahat to wohi hogi

Hai pyaar hamai.n tum se,
Hamraaz farishtey hain,
Pehachaan le laankhon main,
Ye rooh ke rishtey hain.

Kuch Kaho Na!......

Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhoot ke parde na dhoondo,
Sach kaho na .
Kuchh kaho na ..

Ek dooje ke liye ham,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag_van ke jaise.
Jheel si simtee na baitho,
Kuchh baho na .
Kuchh kaho na ..

Jaanata hoon thak gayee ho,
Umr ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firata hai suno,
Itna daro na .
Kuchh kaho na ..

Kis tarah ladatee rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se , angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se ,tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na
Kuchh kaho na !!

Syaah sannaton main hamane,
Umr katee hai tanhaa,
Tang aur andhi surangen,
Is gufaa se us gufaa.

Saans thi sahami hui si,
Dhadakanon ko ek darr,
Itnaa tanhaa aur lambaa,
Zindgi ka uff safar.

Door meelon door jalati ,
Lau koi lagatee ho tum ,
Tum ho,tum ho,Tum hi tum ho ,
Ho naa tum, tum, ho naa tum.

Pal se pal tak jee rahe hain,
Tum hi pal pal aas ho na,
Ek pal to aur thaharo ,
Ek pal dikhati raho na .

Kuchh kaho na !!

Wo Pagli Ladki....

Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gam ansoon ke sang hote hain,
Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna har manchaha kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho dinbhar, kuchh sapnon ka bhi samman karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ek ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Woh pagli ladki nau din mere liye bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bhin marna bhi bhari lagta hai.

Friday, July 2, 2010

Bin Tere Ye Zindgi.......

Bin tere ye zindgi adhuri thi,
Tere sath na hona meri majburi thi,
Ho kar bhi pass tu dur thi mujhe se,
Jaane ye kaise duri thi,

Aana chati thi pass mere,
Par jane kyo itna darti thi,
Dur se dekh mujhe who ,
Dhire se sajada karti thi,

Mohabbat mein who bhi meri,
pal-pal aahe bharti thi,
Chip-chip kar who mujhese ,
milne ki koshis karti thi........

Is Taraha Yun........

Is taraha yun wada thod kar na ja,
Mujhe is taraha akela chod kar na ja,
Agar is tarah akela chod kar hi jana tha tho kyo zindgi mein aye,
Agar sath nahi nibhana tha tho kyo sath jine ke sapne dikhaye,
Teri in ankho mein mujhe aaj bhi wafa nazar aa rahi hai,
Phir na jaane kyo tu mujhe chod kar ja rahi hai,
Har lamha thujko meri yaad satayegi,
Mere bin ye zindgi teri kat na payegi,
Ye tu janti hai ya tera rab janta hai,
Ki mere bin tu bhi rahe na payegi,
Mohabbat meri ye ek din aisa rang layegi,
Tu duad kar aa mujhe gale lagayegi................

Na Jaane Kyo........

Na jaane kyo who hume itna pyar karte hai,
Hamari har baat par atbar karte hai,
In ankho mein kuch sapne liye,
Humse milne ka intzar karte hai,
Har aahat par lage unhe ki hum aa gaye,
Na jaane kab hum unke dil mein sama gaye,
Dekhte-hi-dekhte mere is dil mein,
Who bhi apni jagah bana gaye,
Ahsas apne pyar ka mujhko dila gaye,
Mohabbat ke is dariya mein mujko duba gaye,
Ye uska or uske pyar ka ahsas hai,
Jo pathar ko bhi moam bana gaya hai,
Is dil ko pyar karna sikha diya hai...........

Kaash Aap Yahan Hote...........

Aise pyaare mausam mein naapko yaad karta hai ye dil..
kaash aap yahan hote...
baarish ki in boondo ke saath aapko mehsus karta hai ye dil....
kaash aap yahan hote....
Jaane ye mann kya chah raha hai...
bas aapko hi har taraf dhoond raha hai...
aao mere pas aao..
yu na ab mujhe satao....
aapki har khwaish puri karne ka intezaar hai kyunki mujhe aapse bahut pyaar hai....
Is pyaar ko kaise jatau main...mere dil ke haal kaise batau main....
aise pyaare mausam mein aapko yaad karta hai ye dil...
pyaar se pyaar karne ko chahta hai ye dil...
kaash aap yahan hote.....