Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Saturday, September 11, 2010

Dushman bhi...

Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.

Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.

Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.

Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.

Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.

Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.

Ahista ahista.....

Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain….
Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain…
Dil tho dene se ghabraathe hain…
Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain….

Aapse kaha nahi kuch humne…
Magar ahista ahista aapke lafzon per aetebaar karne lage hain…
Aapka dil dharaktha hai tho…
Ahista ahista humme wo dharkane sunaaye dene lagthi hain…
Aapki aankhon mein jo mohabbat hai…
Ahista ahista wo humme nazar aane lagi hai…

Aapse milkar yaad aane lagi wo beethi hui baatein…
Magar ab ahista ahista bhulaane lage hain hum wo dard ka ehsas….
Najaane kyun badal ne lagi hai yeh soch hamaari…
Magar ahista ahista saare shikwe gile mitne lage hain…

Dil kahe kar de ikraar...

Dil kahe kar de ikraar mere yaar,
par darr tha kar na de inkaar…..
dekhte dekhte beet gaye din chaar,
humse pehle kar diya unhone izhaar…..
dil dhadak ne laga is baar,
mun me mauj si uthi is baar…..
in ankhon ko tha bas usi ka intazar,
kya isi ko kehte hai pyar…..
rehne lage har pal bekaraar,
phool bhi sharmajaye gar dekhe use ek baar……
dhoondne se bhi na mile,hai hazaaro me ek mera yaar,
kaise bataye tumhe,hai hume unse kitna pyar…..
jaan se pyara hai woh,dil se dildar ban gaya hai woh,
rub ke baad hai woh,bas qayamat tak rahe sath woh…..
zindagi lage janaat se bhi pyari,
sapno ki mehfil humne hai chaand pe sajayi….

Pyaar karo...........

Bedhadak khoob baar baar karo,
Aaj buss Pyaar Pyaar Pyaar karo,
Itna paya hai….kuch to loutaoo,
Pyaar me yaar…na kuch udhaar karo,
Phir kisse roz vaade karna,
Aaj ki baat aar paar karo,
Meri nazare jawab de dengi,
Puch ke naa sharmsaar karo,
Pyaar karna na jante hoto,
Apni bahain ghumavdaar karo.

Sham ke baad............

Jab bhi aayi teri yaad, jaanam sham ke baad,
kuch sanjida haalat hui, meri sham ke baad….

yun to har lamha teri yaad ka bozal gujra,
dil ko mehsoos hui teri kami, shaam ke baad…..

yun to kuch sham se pahele bhi thi yaadein teri,
ab to kuch aur badi dil ki lagi sham ke baad….

seene mein teri yaad ka, tufaan ubhar aaya hai
teri yaad mein tadap raha hoon, ye kaisa tufaan ubhar aaya hai…..

meri tadap ka soch kar, kuch aur soch na payegi tu
meri mohabbat mein saj kar, kuch aur kar na payegi tu…..

dil se niklein hain ye labz-e-azeez, teri mohabbat mein
sanwaar lena ihein dil mein, ye labz-e-azeez teri mohabbat ke….!!

Tumko to bhul jayenge......

Tumko to bhul jayenge magar
tumhari yaadein kaise bhulayenge

jab bhi hogi pehli baarish
tumko samne payenge
woh bundo se bhara chehra
tumhara hum kaise dekh payenge

bahegi jab bhi sard hawaein
hum khud ko tanha payenge
ehsaas tumhare saath ka
hum kaise mehsoos kar payenge

is daudti hui zindagi mein
to hum bilkul hi ruk hi jayenge
thaam lo hume thamne se pehle
hum kaise yun ji payenge

le dubega ye dard humein
aur hum jeete ji mar jayenge…